Showing posts with label hindi. Show all posts
Showing posts with label hindi. Show all posts

Monday, January 28, 2008

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye - [Movie: Anand]

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye
Chupke Se Aaye
Mere Khayaalon Ke Aangan Mein
Koi Sapnon Ke Deep Jalaaye

Kabhi Yun Hi Jab Hui Bojhal Saansen
Bhar Aai Baithe Baithe Jab Yun Hi Aankhen
Kabhi Machal Ke Pyar Se Chal Ke
Chhuye Koi Mujhe Par Nazar Na Aaye
Kahin Door...

Kahin To Yeh Dil Kabhi Mil Nahin Paate
Kahin Pe Nikal Aaye Janmon Ke Naate
Thami Thi Uljhan Bairi Apna Man
Apna Hi Hoke Sahe Dard Paraaye
Kahin Door...

Monday, January 7, 2008

Kabhi To Nazar Milao -ADNAN SAMI

Hindi Song Title: Kabhi To Nazar Milao
Hindi Movie/Album Name: KABHI TO NAZAR MILAO (ALBUM)
Singer(s): ADNAN SAMI


Hindi Lyrics:

--MALE--
Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao - 2
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

--FEMALE--
Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao - 2
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

(Humne tumko dekhte hi dil diya
Tum bhi socho tumne humse kya kiya) - 2
Tumne kya kiya, kya kiya
Mera dil na todo, kabhi dil se dil milaa lo
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

--MALE--
Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao - 2
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

(Dil yeh chaahe teri zulfein choom loon
Sochta hoon aur tumse kya kahoon) - 2
Tumse kya kahoon, kya kahoon
Koi faislaa do, kabhi to gale lagaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 2

--FEMALE--
Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao - 2
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao

--CHORUS--
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane - 7

--FEMALE--
(Tumhaare deewane, deewane, deewane)
(Deewane, tumhaare deewane, deewane)
(Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane)

Monday, February 5, 2007

Churaalo na dil mera sanam

Lyrics: CHURAALONA DIL MERA SANAM-------KAREEB(1998)
Music By: Anu Malik
Lyrics By: Rahat Indori
Performed by: Sanjeevani, Kumar Sanu

Dil Mera Chura Lo
Aankhon Mein Chhupa Lo
Apna Bana Lo Sanam

Na Na Na..
Na Na Na..
Haan Haan Haan
Na Na Na Na

Chura Lo Na Dil Mera Sanam
Bana Lo Na Apna Sanam
Ki Tere Bin Na Ji Sakenge
Ki Tere Bin Na Mar Sakenge
Kuchh Bhi Na Kar Sakenge

Chura Lo Na Dil Mera Sanam
Chura Lein Kyon Dil Tera Sanam

Na Na Na..Haan Haan Haan
Na Na Na Na

Masala Baant Loon
Main Pyaaz Kaat Loon
Chhuri Kidhar Gayi
Uff Hai Nal Khula Hua

Main Keh Raha Hoon Kya
Tu Sun Rahi Hai Kya
Tu Sun Rahi Hai Kya
Main Keh Raha Hoon Kya

Tera Deewanapan Hai Yeh
O Bekhabar Kitchen Hai Yeh
Yeh Kyon Vahaan Utha Dhuaan
Kya Jaane Kya Jal Gaya

Tere Bin Na Ji Sakenge
Ki Tere Bin Na Mar Sakenge
Kuchh Bhi Na Kar Sakenge
Chura Lo Na Dil Mera Sanam
Chura Lein Kyon Dil Tera Sanam

Na Jaane Kya Kaha
Kaho Na Phir Zara
Sunoon Mein Gaur Se
Kaho Na Zor Se

Kaha Jo Zor Se
To Chaaron Aur Se
Hasenge Hum Pe Sab
Hamaare Shor Se

Karenge Baat Phir Kabhi
Jawaab Chaahiye Abhi
Nahin Nahin Abhi Nahin
Itni Bhi Jaldi Hai Kya

Ki Tere Bin Na Ji Sakenge
Ki Tere Bin Na Mar Sakenge
Hum Soch Kar Kahenge

Achcaha Hua Jo Pyaar Ki Pehchaan Ho Gayi
Dete Thay Jis Pe Jaan Woh Anjaan Ho Gayi
Mausam To Main Nahin Hoon
Jo Aaoonga Jaoonga
Rootha Jo Ek Baar To Vaapas Na Aoonga

Na Na Na..Na Na Na..Haan Haan Haan
Na Na Na Na
Chura Lo Na Dil Mera Sanam
Bana Lo Na Apna Sanam
Ki Tere Bin Na Ji Sakenge
Ki Tere Bin Na Mar Sakenge
Hum Soch Kar Kahenge

Dil Mera Churalo
Aankhon Mein Chhupalo
Apna Banalo Sanam...